Kahaani Rozedar Ki - Lyrics

Singer: Sameer Khan

Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki
Kya Hai Martaba Roze Ka
Kya Hai Qadr Rozedaar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki

Roze Ka Kya Hai Martaba
Aao Tumhein Sunayein Hum
Dur Ek Gaon Mein
Ek Beti Aur Maa Rehte The
Faaqa Kashi Mein Bhi
Khuda Ka Shukr Karte The
Allah Ko Pasand Thi
Namaz Sabrdaar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki

Tees Roze Leke Ramzan Aagaya
Allah Ki Rehmat Ka Farman Aagaya
Tees Roze Leke Ramzan Aagaya
Allah Ki Rehmat Ka Farman Aagaya
Sab Rozedaar Sehri Ki Tayyari Kar Rahe The
Bachhi Ke Dil Mein Hasrat Roze Ki Uth Gayi
Maa Se Apni Boli Main Bhi Rakhungi Roza
Maa Ne Kaha Chhoti Hai Tu Aye Meri Bachhi
Pyaas Ki Shiddat Ko Tu Seh Na Sakegi
Sehri Ka Waqt Aaya To Chupke Se Vo Uthi
Pani Piya Roze Ki Niyyat Karke Sogayi
Uth Kar Qaza Fajr Ki Namaz Vo Padhi
Allah Rakhna Laaj Meri Keh Ke Ro Padi
Jo Kuch Tha Waqia Vo Bayan Usne Kardiya
Ammi Meri Maine Bhi Aaj Roza Rakh Liya
Maa Ne Kaha Kyun Roza Rakha Baat Tujhe Batani Thi
Roza Kholne Ko Hame Nani Ke Ghar Jana Tha
Rasta Jungle Ka Hai Is Baat Ka Hai Darr
Raste Mein Hi Ho Jayegi Iftar Kya Khabar
Ye Baat Hai Us Neik Ibadat Guzar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki

Dono Hi Ghar Se Chal Pade Meelon Ka Ye Safar Tha
Anjaan The Har Baat Se Aur Waqt Tha Asar Ka
Ek Sher Aur Sherni Raste Mein Aagaye
Sher Ne Kaha Ke Ye Accha Shikar Hai
Bachhi Ne Kaha Roke Hum To Rozedaar Hai
Sherni Boli Ki Inko Hum Jo Khayenge
Allah Ko Batao Kya Mu Dikhayenge
Roze Ki Barkaton Se Khatra Bhi Ye Tal Gaya
Allah Ke Fazal Se Dil Bhi Sher Ka Pighal Gaya
Allah Puri Karta Dua Deendaar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki
Suno Mominon Suno
Ye Kahani Hai Ek Rozedaar Ki